Wo shawarup hai prem shakti ka,.
Har Nari devi ka avtaar hai..
Aadar, Samman ki murat hai wo..
Wo har jivan ka aadhar hai..
Hai wo kabi Saraswati, hai wo kabi durga..
Mamta uska gehna hai, Saralta uska shringar hai..
Hai jisme Surya sa tej or chandra si nirmalta,.
Han wo Naari hai, Jise naman karta sansar hai..
Kaha tha us khaas ne, jb hui thi baton ki daud-chaal,.
" Likh kar kuch mere bare me, Jara karna mera khyal"
Hami bhari thi maine, kaha-" Han!! Jarur."
Soch raha hai dil, Kaise dikhaye uski khubiyon ka noor!!..
Chalo bahane se hi sahi, ek mauka mila hai mujhe..
Apne alfazo me aakhir, kaise karun bayan use..
Shikayat wahi, meri chuppi wahi,.
Jab maa meri puchhe-
" Ye sirhane me tere daag kaisa?
Na nam ghar ki diwaar hai,.
Tujhe sardi hai, na bukhar hai..
To bol sirhane me tere daag kaisa? "
Mere Jwab me itni takat nhi,.
ki sabdo ke jaal jakad le us swaal ko,.
Nazre chura kar, khud ko bacha kar..
Kah deti hun- " mujhe maloom nahi."
HAPPY WINTER SEASON!!!!
Baraf ki safed chadar, kohre me dhaki suraj ki shan..
Pedo se juda patte, khoye hain jinke nishan..
Aasmaan ka ravaiyya kora hai, panchhiyo ki bhi hai band zubaan..
Mausam bhi hai kuch rutha sa, Yahan pighalti har sham..
Har saal is sard mausam ki, hai ek yhi baat..
Bachana jara!! Ye hai khushk sardi ki shuruwat..
Jajbato pr thehraw lana muskil tha..
Tammannao ko maar pana muskil tha..
Alfazo ka baadal banta gaya..
Kalam ki pehali barsat ko, rok pana muskil tha..
Bana tha tb ehsaso ka Mehal..
Han yhi thi meri Pehali Pahal..