Wo shawarup hai prem shakti ka,.
Har Nari devi ka avtaar hai..
Aadar, Samman ki murat hai wo..
Wo har jivan ka aadhar hai..
Hai wo kabi Saraswati, hai wo kabi durga..
Mamta uska gehna hai, Saralta uska shringar hai..
Hai jisme Surya sa tej or chandra si nirmalta,.
Han wo Naari hai, Jise naman karta sansar hai..
Janmi wo beti ban kar, laxmi bani kisi ke chhav pe..
Maa ka darza pane ko wo, rakhti praan apne daav pe..
aanch na aane deti samman pe, garav badati har naari ka..
Har path par badti wo, Kante sehti apne paanv pe..
Ban kar beti, ban kar kisi ki ardhangni, pura karti apna dayitav,
Prem sparsh uska malham banta har gaav pe..
Uski chuppi hi nhi, uska krodh b uska samman hai..
Lade wo jab adhikar ke liye, ruke nahi kisi pathraav pe..
Komalta uski, saumyta uski, uski kadwahat me bhi pyaar hai..

Nirbal, kamjor maan kar usko, kyun kare uska apmaan?
Jhuthe, khokle rivajo me baandh kar usko, kyn le uske praan?
jab jhuko na tum khud, to kyun jhuke wo ghutne tek ke..
Kore abhimaan ke lalach me, kyun tode uska shvabhimaan?
Badalte sansar me, usne racha har baar itihaas..
Har Roop me sanwara kr khud ko, uccha kiya apna naam..
Pag-Pag me paa kar manjil, badaya hausla har naari ka..
jeet kar pura sansar, chhota kar diya har kaam..
rok kar burai, bada kar khud ko, jo na banti lachar hai..

No comments :
Post a Comment