Tuesday, December 17, 2013

Bachana Jara!! Ye Hai Khushk Sardi Ki Shuruwat

Wallpaper of winter season

HAPPY WINTER SEASON!!!!
Baraf ki safed chadar, kohre me dhaki suraj ki shan..
Pedo se juda patte, khoye hain jinke nishan..
Aasmaan ka ravaiyya kora hai, panchhiyo ki bhi hai band zubaan..
Mausam bhi hai kuch rutha sa, Yahan pighalti har sham..
Har saal is sard mausam ki, hai ek yhi baat..
Bachana jara!! Ye hai khushk sardi ki shuruwat.. 


Pattiya girti hai pedo se, nachayen jab thandi hawayen sab ko,.
Jhuki tehniya jataye aise, jaise sajda ho rab ko..
Pyasi jheel aise samete baraf ke tukdo ko,.
Jaise tarsi ho wo, sadiyo se inki jhalak ko..
Chauraah ki mand battiyo me, soti hai jab raat..
Bachana jara!! Ye hai khushk sardi ki shuruwat.. 

June ki tez-tapti dhup se zudai, August ki suhawane mausam se vidai..
Ab subah hoti hai mand suraj sang, jab thand leti hai angdai..
Chay ka pyala bane nam OOns se, bhigayen hoth ye thand hawayen..
Hitar or aang fike hai is mausam ke samne, har pal thand ki maar sataye..
Aakhir chhute kaise sardiyo ka sath,..
Bachana jara!! Ye hai khushk sardi ki shuruwat.. 

No comments :

Post a Comment