Kitni khush thi mai use pakar, Yaad bhi na tha khud ka vazood..
Meri Pahali Mohabbat, MERA PAHALA PYAAR, ya kahun ishq ka Pahala teer..
Lambi sardiyo ki wo raat thi,.
dari-dari, sahmi-sahmi, mai fir bhi uske sath thi..
Tej dhadkano ki raftaar thami na thi,.
Mere dil me bas uski hi baat thi..
Badi der tk thahre rahe hum sab sathi, kisi mahfil me..
Bahana bana uska, mujhe ghar tk chhodna,.
kadmon ka dheere-dheere badhana uska,.
Or har baat ko Ishq ki taraf modna..
Samajh kar bhi na samajh banna mera,.
Uski ishq ki baaton ko beech me hi todna..
Thaki-thaki uski sari koshishe, ummeed se nigah uthati..
dabi-dabi uski baaten, dil ka raaz batati..
Mai khush thi, use is tarah tadapta dekh kar,.
Kyunki har baat uski, chahat ke hi raag gaati..
Kaha maine gusse se-
" Kya rakha hain in fizul baaton me,
Kyun kare waqt barbad duniya, is Mohabbat me!!! "
Badi hairani se puccha usne-
" Kyun kahti ho tum aise?, Kya bigada tumhara is chaahat ne?
Duniya chale isi ke bal par, kya yakeen nahi tumhe Mohabbat me? "
Kaha maine-
" Hadden todna mujhe pasand nahi, dhokha hai dil ka haar"
Thahar kar wo bola-
" Meeta dun mai ye galat fahmi, gar kar lo tum mujhse pyaar"
Main dang thi uske is jawab pr, wo bhi uljha rah gaya..
Na socha tha jo maine, na socha tha jo usne..
Kuch is tarah, wo dil ki baat kah gya..
Ruka wo achanak, rok kar kadam apne,.
Baitha wo ghutno pr jhuka kar sir, mere samne..
dar-dar ke wo bola-
" Mai na janu, tere dil ki koi baat,.
Par jab se tujhe jana, tujhe mana apni kaynat..
Ikraar-e-mohbbat to ek bahana hai, tujhe paane ka,.
Meri chahat hain, paun mai umar-bhar tera sath..
Kaho tumhara jwab kya hai?? Ya mai karun khuda se fariyad??
Akela kar dogi mujhe ya thamogi mera hath?? "
Dhadkane daud rahi thi har pal, Ualjhano me khoya tha dil..
Sochane lagi- kaise mai dun jwab, swal hai bada muskil..
Juta kar himmat mai boli-
" Kash!! Na ho ye mera sapna..
Mai hui tumhari, tum bana lo mujhe apna."
Kitni khush thi mai use pakar, Yaad bhi na tha khud ka vazood..
Meri Pahali Mohabbat, MERA PAHALA PYAAR, ya kahun ishq ka Pahala teer..
No comments :
Post a Comment