Pages

Saturday, January 11, 2014

Mai Akela, Tu Akeli

Mai puchun tujhse- Teri muskurahat kahan gum ho gyi?
Tu bas kahe itna- Nakamiyab koshisho me kho gyi..
Mai akela, tu akeli!! Parwah duniya ki nahi..
Tanhai ke mehkhane me, koi humara khuda nahi..

Tu bhagti khud ke Saye se, mai kah na paun aap-biti..
Mere ashak chhipe mere dil pe, tu hotho me apni siskiyan siti..
Ek sunsan khandar hai, jahan lau nhi roshni ki..
Yahan bikhare lash tute dilo ke, to kuch me tammana nhi jindagi ki..
Haal tera-mera bhi kuch aisa hi hai, tut chuka dil ka bandhan..
Mujhe sath kisi ka pasand nhi, tujhe pasand akelapan..
Mai bhatkun un raston pr, jahan dhundhle hai nishaan..
Tu thahari rahi un raston pr, jahan mile na mukam..
Raftar Jindagi ka ruka nhi, daudati rahi ghadi ki suiyan,.
Jhuthe duniya ki bheed me, palti rhi khushfehmiyan..
Samne hai sachai dard ke sang, kahne ko kuch bhi bacha nhi..
Na hum galat hai, na ye duniya sahi..
Fir bhi na jane kyun, bikharati Jindagi ki kali..
Banki yahi- Mai Akela, Tu akeli..

No comments:

Post a Comment